Wo Dekha KHwab Qasir Jis Se Hai Apni Zaban Aur Hum

wo dekha KHwab qasir jis se hai apni zaban aur hum

ki goya ek ja hai us mein hai wo naujawan aur hum

wo ro ro mujh se kahta hai KHuda ki baaten hain warna

bhala Tuk dil mein apne ghaur kar tu ye makan aur hum

jo puchha qais se laila ne jangal mein akele ho

to bole ai nahin wahshat hai aur aah-o-fughan aur hum

aji gaDbaD rahi hai aql apne sab farishton se

paDe phirte hain baham sair karte qudsiyan aur hum

nasha hai aalam-e-masti hai be-qaidi hai rindi hai

kahan ab zohd-o-taqwa hai KHarabaat-e-mughan aur hum

niyabat hum ko rizwan ki mili maula ke sadqe se

wagarna ohda-e-darbani-e-bagh-e-jinan aur hum

ajab ranginiyan baaton mein kuchh hoti hain ai 'insha'

baham ho baiThte hain jab saadat-yar-KHan aur hum

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dekha KHwab Qasir Jis Se Hai Apni Zaban Aur Hum In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Wo Dekha KHwab Qasir Jis Se Hai Apni Zaban Aur Hum is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Wo Dekha KHwab Qasir Jis Se Hai Apni Zaban Aur Hum for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Wo Dekha KHwab Qasir Jis Se Hai Apni Zaban Aur Hum in PDF.