Yan ZaKHmi-e-nigah Ke Jine Pe Harf Hai

yan zaKHmi-e-nigah ke jine pe harf hai

hai dil par apne zaKHm ki sine pe harf hai

zar-KHarchiyan kahan talak apni bayan karen

qarun ki bhi yan to KHazine pe harf hai

milte the chauthe panchwen wo waqt to gaya

ab ye ki chaar panch mahine pe harf hai

kya daKHl wo jo hath se mere piyen sharab

wan kahte kahte baat bhi pine pe harf hai

tufan-e-ashk 'nuh'-alaihissalam se

bola ki aap ke bhi safine pe harf hai

na-chiz aap jaante hain is qadar mujhe

ulfat to jawe bhaD mein kine pe harf hai

naseh jigar ke zaKHm ko jarrah kya siye

yan sozan-e-masih ke sine pe harf hai

yan har bun-e-masam mein KHunaba hai rawan

nikle to KHun hi nikle pasine pe harf hai

'insha' ki mohr paDhiye bhala aashna hua

kandida koi is ke nagine pe harf hai

ab dhyan kar ke dekhiye kya hai gaTha hua

is ka har ek apne qarine pe harf hai

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yan ZaKHmi-e-nigah Ke Jine Pe Harf Hai In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Yan ZaKHmi-e-nigah Ke Jine Pe Harf Hai is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Yan ZaKHmi-e-nigah Ke Jine Pe Harf Hai for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Yan ZaKHmi-e-nigah Ke Jine Pe Harf Hai in PDF.