Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan BaDi Jang Hoti Hai Der Se

ye jo mujh se aur junun se yan baDi jang hoti hai der se

so kuchh aisi Dhab se laDai hai laDe sher jaise ki sher se

bani shakl laila-e-nau-jawan mere data kya kahun al-aman

wo tajalli ek jo hui ayan kisi raat qais ke Dher se

abhi do mahine se hun juda na to KHwab mein bhi nazar paDa

bhala aur andher ziyaada kya kahin hoga aise andher se

mujhe shamiyana tale se kya mera dil to kahta hai mujh se aa

sar-e-rah koThe pe baiTh ja yahin takiya de ke munDer se

teri baadle ki ye oDhni are barq kaunde nazar mein tab

kare ye ghaTa jo muqabla kisi peshwaz ke gher se

nahin intizar ke hausle mujhe sujhe saikDon artale

qasam un ne khai to hai wale mera ji Dare hai adher se

bhala mujh se dew ke samne koi Thonk sakte hain KHam bhala

are ye anguThe se aadmi to bichaare KHud hain baTer se

wahi pi kahan wahi pi kahan yahi ek raT si jo hai so hai

mahaaraj choT si lagti hai mujhe is papihe ki Ter se

ghazal 'insha' aur bhi ek likh isi bahar aur radif ki

ki zabar ki qafiye jis mein hon mujhe nafrat aa gai zer se

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan BaDi Jang Hoti Hai Der Se In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan BaDi Jang Hoti Hai Der Se is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan BaDi Jang Hoti Hai Der Se for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan BaDi Jang Hoti Hai Der Se in PDF.