Zamin Se UTThi Hai Ya CharKH Par Se Utri Hai

zamin se uTThi hai ya charKH par se utri hai

ye aag ishq ki yarab kidhar se utri hai

utarti najd mein kab thi sawari-e-laila

Tuk aah qais ke jazb-e-asar se utri hai

nahin nasim-e-bahaari ye hai pari koi

uDan-khaTole ko Thahra jo far se utri hai

na jaan is ko shab-e-mah ye chandni-KHanam

kamand-e-nur pe auj-e-qamar se utri hai

chalo na dekhen to kahte hain dasht-e-wahshat mein

junun ki fauj baDe karr-o-farr se utri hai

nahin ye ishq tajalli hai haq-taala ki

jo rah zina-e-baam-e-nazar se utri hai

libas-e-ah mein likhne ke waste 'insha'

qalam dawat tujhe arsh par se utri hai

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se UTThi Hai Ya CharKH Par Se Utri Hai In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Zamin Se UTThi Hai Ya CharKH Par Se Utri Hai is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Zamin Se UTThi Hai Ya CharKH Par Se Utri Hai for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Zamin Se UTThi Hai Ya CharKH Par Se Utri Hai in PDF.