Aankhon Ko Intishaar Hai Dil Be-qarar Hai

aankhon ko intishaar hai dil be-qarar hai

ai aane wale aaqa tera intizar hai

baalin pe waqt-e-naza koi sharmsar hai

ai zindagi palaT ki tera intizar hai

allah ri ye nazakat-e-yak-jalwa-e-nigah

KHud un ka husn un ki tabiat pe bar hai

jine pe iKHtiyar na marne pe iKHtiyar

sadqe is iKHtiyar ke kya iKHtiyar hai

qismat juda sahi pa haqiqat to ek hai

jo sham-e-bazm hai wahi sham-e-mazar hai

tum dur ho to lakh bahaaren bhi hain KHizan

tum pas ho agar to KHizan bhi bahaar hai

iqbaal aaj shahr-e-nigaran mein mera dil

is par nisar hai kabhi us par nisar hai

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ko Intishaar Hai Dil Be-qarar Hai In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Aankhon Ko Intishaar Hai Dil Be-qarar Hai is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem Aankhon Ko Intishaar Hai Dil Be-qarar Hai for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download Aankhon Ko Intishaar Hai Dil Be-qarar Hai in PDF.