Meri Nazar Se Jo Nazren Bachae BaiThe Hain

meri nazar se jo nazren bachae baiThe hain

KHabar bhi hai unhen kya gul khilae baiThe hain

hazar bar jale jis se baal-o-par apne

usi charagh se hum lau lagae baiThe hain

jo shaKH shoKHi-e-barq-e-tapan se hai manus

usi pe aaj nasheman banae baiThe hain

phir us ke wada-e-farda ka ho yaqin kaise

hazar bar jise aazmae baiThe hain

shab-e-firaq ki hum tirgi se ghabra kar

charagh-e-zaKHm-e-gham-e-dil jalae baiThe hain

use hijab kahun ya kahun pashemani

mere mazar pe wo sar jhukae baiThe hain

hum ek qatra-e-qalb-e-hazin mein ai 'iqbaal'

gham-e-hayat ke tufan chhupae baiThe hain

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nazar Se Jo Nazren Bachae BaiThe Hain In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Meri Nazar Se Jo Nazren Bachae BaiThe Hain is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem Meri Nazar Se Jo Nazren Bachae BaiThe Hain for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download Meri Nazar Se Jo Nazren Bachae BaiThe Hain in PDF.