Nazar Jin Ki Ulajh Jati Hai Unki Zulf-e-pechan Se

nazar jin ki ulajh jati hai un ki zulf-e-pechan se

wahi baDh kar lipaT jate hain aksar mauj-e-tufan se

agar sharma raha hai mehr-e-taban husn-e-jaanan se

shafaq bhi to KHajil hai surKHi-e-KHun-e-shahidan se

mere josh-e-junun ko chheDta hai kis liye hamdam

uThengi aandhiyan lakhon ishaare hain bayaban se

Dubo kar dekh kashti-e-tamanna bahr-e-hasti mein

ubhar aaega KHud sahil kisi nau-KHez tufan se

mujhe marna mubarak bas tamanna hai to itni hai

bujha den wo charagh-e-zindagi KHud apne daman se

sambhal kar rahrawan-e-rah-e-ulfat saKHt manzil hai

sadaen aa rahi hain aaj tak gor-e-ghariban se

hujum-e-yas hi 'iqbaal' tamhid-e-masarrat hai

KHushi ka bab khulta to hai lekin gham ke unwan se

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Jin Ki Ulajh Jati Hai Unki Zulf-e-pechan Se In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Nazar Jin Ki Ulajh Jati Hai Unki Zulf-e-pechan Se is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem Nazar Jin Ki Ulajh Jati Hai Unki Zulf-e-pechan Se for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download Nazar Jin Ki Ulajh Jati Hai Unki Zulf-e-pechan Se in PDF.