Pata Hun Iztirab RuKH-e-pur-hijab Mein

pata hun iztirab ruKH-e-pur-hijab mein

shayad chhupa hai dil mera un ki naqab mein

su-e-falak wo dekhen agar pech-o-tab mein

barpa ho hashr gahan lage aaftab mein

wo chandni mein ruKH se haTa den agar naqab

lag jaen chaar-chand ruKH-e-mahtab mein

ai na-KHuda-e-kashti-e-dil dekh-bhaal ke

tufan chhupe na hon kahin qalbe-habab mein

sabr-azma nigahon ka sadqa idhar bhi dekh

phir kuchh kami si pata hun ab iztirab mein

ek tum hi aae dard ki duniya basa gae

warna raha tha kya dil-e-KHana-KHarab mein

'iqbaal' in ki mast-nigahon ka faiz hai

mera jahan-e-shauq hai Duba shabab mein

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pata Hun Iztirab RuKH-e-pur-hijab Mein In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Pata Hun Iztirab RuKH-e-pur-hijab Mein is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem Pata Hun Iztirab RuKH-e-pur-hijab Mein for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download Pata Hun Iztirab RuKH-e-pur-hijab Mein in PDF.