TukDe TukDe Mera Daman-e-shakebai Hai

TukDe TukDe mera daman-e-shakebai hai

kis qadar sabr-shikan aap ki angDai hai

dil ne jazbaat-e-mohabbat se ziya pai hai

meri tanhai bhi ek anjuman-arai hai

ab jafa se bhi gurezan hain wo allah allah

dekhiye kya mera anjam-e-shakebai hai

bijliyan mere qafas par na kahin TuT paDen

kyun saba KHak nasheman ki yahan lai hai

bas wahi bahr-e-mohabbat ka shanawar nikla

jis ne tufan se ulajhne ki qasam khai hai

shauq se aap zamane ko nawazen lekin

kya koi meri tarah aap ka shaidai hai

kaun hamdard zamane mein hai 'iqbaal' magar

un ki ek yaad faqat monis-e-tanhai hai

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TukDe TukDe Mera Daman-e-shakebai Hai In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. TukDe TukDe Mera Daman-e-shakebai Hai is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem TukDe TukDe Mera Daman-e-shakebai Hai for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download TukDe TukDe Mera Daman-e-shakebai Hai in PDF.