KHandgi KHush Lab Tabassum Misl-e-arman Ho Gae

KHandgi KHush lab tabassum misl-e-arman ho gae

ahd-e-be-gham jun hi aaya hum pareshan ho gae

aage thi hum ko qarabat shab se shab ko hum se thi

un ko thi KHalwat se raghbat hum shabistan ho gae

hae ye ijz-o-niyaz-e-mai-kashan bhi kam nahin

aah kya bhar li ki hum KHak-e-gulistan ho gae

kya teri mahfil ki hai ye irtijali ai KHuda

sans ki fursat na di aur ahd-o-paiman ho gae

kya karen shikwa teri be-eatidali se raqib

wo bulae bhi na aae aap mehman ho gae

yaad hai hum ko junun-e-la-fana ki laghzishen

hum mein thi maujen kabhi ab dasht-e-viran ho gae

rakh liya saqi ne meri KHastagi ka ye bharam

shaiKH ki majlis mein hum pasti ka saman ho gae

tere kakul ki daraazi ho ki zulfon ka sitam

hum ne aankhen un se mundin bhi to zindan ho gae

teri qamat par fida ho kya ki lab par iftiKHar

teri angusht-e-hinai par hi qurban ho gae

aah wo baaligh tera mashhur fahwa-e-kalam

bulbulon ne hum ko dekha kal to hairan ho gae

(1058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHandgi KHush Lab Tabassum Misl-e-arman Ho Gae In English By Famous Poet Irfan Ahmad Mir. KHandgi KHush Lab Tabassum Misl-e-arman Ho Gae is written by Irfan Ahmad Mir. Read famous Poem KHandgi KHush Lab Tabassum Misl-e-arman Ho Gae for youth and Student by Irfan Ahmad Mir. Free Download KHandgi KHush Lab Tabassum Misl-e-arman Ho Gae in PDF.