Na Main Haal-e-dil Se Ghafil Na Hun Ashk-bar Ab Tak

na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak

meri bebasi pe bhi hai mujhe iKHtiyar ab tak

mere bagh-e-dil pe aaKHir ye bahaar bhi sitam hai

jo gulab hum ne boe wo hain KHar-dar ab tak

koi aas mujh ko roke teri justuju se kafir

main agarche ho chuka tha kabhi sharmsar ab tak

ye nasib hi nahin tha ki main apna haal ji lun

main hun apni KHastagi ka KHud sogwar ab tak

jo bahae chand qatre jo sajae kuchh tabassum

mujhe aisi ek KHushi ka raha intizar ab tak

ye ajib dastan hai mere be-niyaz dil ki

jo use samajh na paya hai usi se pyar ab tak

main kisi ke ashk pochhun to wo gham-gusar mera

ye samajh ke dard Dhoya main ne bar-bar ab tak

main kise kahun ai 'baaligh' mera gham-nawaz tu hai

meri bekasi ka kis ko hua eatibar ab tak

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Main Haal-e-dil Se Ghafil Na Hun Ashk-bar Ab Tak In English By Famous Poet Irfan Ahmad Mir. Na Main Haal-e-dil Se Ghafil Na Hun Ashk-bar Ab Tak is written by Irfan Ahmad Mir. Read famous Poem Na Main Haal-e-dil Se Ghafil Na Hun Ashk-bar Ab Tak for youth and Student by Irfan Ahmad Mir. Free Download Na Main Haal-e-dil Se Ghafil Na Hun Ashk-bar Ab Tak in PDF.