Rasm-e-ulfat Se Hai Maqsud-e-wafa Ho Ki Na Ho

rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho

zaKHm-e-dil aur ho KHun-basta-e-shifa ho ki na ho

hum jafakar-e-wafa hain hamein matlub nahin

hasil zulf-e-siyahkar saza ho ki na ho

rakh liya thoDa sa imkan-e-tamanna ne bharam

dast sharminda rahe chahe ata ho ki na ho

ho mere qatl mein qatil ki bhi marzi shamil

shor-o-ghul KHub rahe aah-o-baqa ho ki na ho

thi sitam-kari qismat ki wo shiddat hamdam

tu bhi ranjida raha mujh se gila ho ki na ho

ek ye bandish rahi anjam-e-wafa ko ko kar

ahl-e-duniya pe meri rasm rawa ho ki na ho

bas ye aashob mohabbat ki dawa hai 'baaligh'

marg-e-asan ki tamanna ho qaza ho ki na ho

(1255) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasm-e-ulfat Se Hai Maqsud-e-wafa Ho Ki Na Ho In English By Famous Poet Irfan Ahmad Mir. Rasm-e-ulfat Se Hai Maqsud-e-wafa Ho Ki Na Ho is written by Irfan Ahmad Mir. Read famous Poem Rasm-e-ulfat Se Hai Maqsud-e-wafa Ho Ki Na Ho for youth and Student by Irfan Ahmad Mir. Free Download Rasm-e-ulfat Se Hai Maqsud-e-wafa Ho Ki Na Ho in PDF.