KHaraba Ek Din Ban Jae Ghar Aisa Nahin Hoga

KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga

achanak ji uThen wo baam-o-dar aisa nahin hoga

wo sab ek bujhne wale shola-e-jaan ka tamasha tha

dobara ho wahi raqs-e-sharar aisa nahin hoga

wo sari bastiyan wo sare chehre KHak se niklen

ye duniya phir se ho zer-o-zabar aisa nahin hoga

mere gum-gashtagan ko le gai mauj-e-rawan koi

mujhe mil jae phir ganj-e-guhar aisa nahin hoga

KHarabon mein ab un ki justuju ka silsila kya hai

mere gardun-shikar aaen idhar aisa nahin hoga

hayule raat bhar mehrab-o-dar mein phirte rahte hain

mein samjha tha ki apne ghar mein Dar aisa nahin hoga

main thak jaun to bazu-e-hawa mujh ko sahaara de

girun to tham le shaKH-e-shajar aisa nahin hoga

koi harf-e-dua mere liye patwar ban jae

bacha le Dubne se chashm-e-tar aisa nahin hoga

koi aazar pahle bhi raha hoga mere dil ko

raha hoga magar ai chaara-gar aisa nahin hoga

ba-hadd-e-wusat-e-zanjir gardish karta rahta hun

koi wahshi giraftar-e-safar aisa nahin hoga

badaun teri miTTi se bichhaD kar ji raha hun main

nahin ai jaan-e-man, bar-e-digar aisa nahin hoga

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHaraba Ek Din Ban Jae Ghar Aisa Nahin Hoga In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. KHaraba Ek Din Ban Jae Ghar Aisa Nahin Hoga is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem KHaraba Ek Din Ban Jae Ghar Aisa Nahin Hoga for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download KHaraba Ek Din Ban Jae Ghar Aisa Nahin Hoga in PDF.