Kuchh Harf O SuKHan Pahle To AKHbar Mein Aaya

kuchh harf o suKHan pahle to aKHbar mein aaya

phir ishq mera kucha o bazar mein aaya

ab aaKHir-e-shab dard ka bhaTka hua rahwar

aaya bhi to shahr-e-lab-o-ruKHsar mein aaya

kya naqsh hua dil ke andhere mein numudar

kya rozan-e-raushan meri diwar mein aaya

hairan hun ki phir us ne na ki sabr ki takid

bazu jo mera bazu-e-dildar mein aaya

ye aaina-guftar koi aur hai mujh mein

socha bhi na tha main ne jo izhaar mein aaya

hasil na hua mujh ko wo mahtab to mabud

kya farq tere sabit o sayyar mein aaya

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Harf O SuKHan Pahle To AKHbar Mein Aaya In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Kuchh Harf O SuKHan Pahle To AKHbar Mein Aaya is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Kuchh Harf O SuKHan Pahle To AKHbar Mein Aaya for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Kuchh Harf O SuKHan Pahle To AKHbar Mein Aaya in PDF.