Dhalwan Par Gulab Tarai Mein Ghas Hai

Dhalwan par gulab tarai mein ghas hai

is KHitta-e-chaman ko mere KHun ki pyas hai

mausam ki aandhiyon mein bikhar jae TuT kar

is kargah-e-shisha-gari ko ye ras hai

main jaanta hun sharm se bojhal nigah ko

ye nangi KHwahishon ka purana libas hai

jo bujh chuka us ek sitare ki raushni

ab bhi sawad-e-shahr-e-dil-o-jaan ke pas hai

hai yaad aaj bhi unhi honTon ka zaiqa

hathon mein ab bhi us ke pasine ki bas hai

diwar par lagi hui taswir dekhna

mazi ki dastan ka ye iqtibas hai

ThiThuri hui hai ruh chamakta hai aaftab

donon ke darmiyan fasil-e-hawas hai

qasr-e-suKHan mein kholiye lafzon ki khiDkiyan

is daur mein bas ek yahi rah-e-nikas hai

'irshad' sari kawishen bekar mahz hain

sarma ki raat se tujhe hiddat ki aas hai

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhalwan Par Gulab Tarai Mein Ghas Hai In English By Famous Poet Irshad Husain Kazmi. Dhalwan Par Gulab Tarai Mein Ghas Hai is written by Irshad Husain Kazmi. Read famous Poem Dhalwan Par Gulab Tarai Mein Ghas Hai for youth and Student by Irshad Husain Kazmi. Free Download Dhalwan Par Gulab Tarai Mein Ghas Hai in PDF.