Idhar Udhar Ke Hawalon Se Mat Darao Mujhe

idhar udhar ke hawalon se mat Darao mujhe

saDak pe aao samundar mein aazmao mujhe

mera wajud agar raste mein hail hai

tum apni rah nikalo phalang jao mujhe

siwae mere nahin koi jarehana qadam

main ek haqir piyaada sahi baDhao mujhe

isi mein meri tumhaari najat muzmar hai

ki main banaun tumhein aur tum miTao mujhe

guzarne wala har ek lamha mera qatil hai

KHuda ke waste maro ise bachao mujhe

jami hui hain meri lash par nigahen kyun

main koi aaKHiri KHwahish nahin dabao mujhe

KHushi manate ho kahte ho mujh ko id 'nishat'

magar main KHun ki holi bhi hun jalao mujhe

(1736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Udhar Ke Hawalon Se Mat Darao Mujhe In English By Famous Poet Irtiza Nishat. Idhar Udhar Ke Hawalon Se Mat Darao Mujhe is written by Irtiza Nishat. Read famous Poem Idhar Udhar Ke Hawalon Se Mat Darao Mujhe for youth and Student by Irtiza Nishat. Free Download Idhar Udhar Ke Hawalon Se Mat Darao Mujhe in PDF.