Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai

ab bhi guzre hue logon ka asar bolta hai

rah KHamosh hai imkan-e-safar bolta hai

shaKH se TuT ke rishte nahin TuTa karte

KHushk patton ki zaban mein bhi shajar bolta hai

ye to duniya hai tasalsul ka amal jari hai

bolne wale chale jaen to ghar bolta hai

DhunDne jaen to milta hi nahin us ka pata

aur rasta hai ki ta-hadd-e-nazar bolta hai

un ke chehron pe hai tahrir kahan ke hain ye log

un ko jaana hai kidhar raKHt-e-safar bolta hai

aane wale kisi lamhe ki KHabar ho shayad

sar jhukae hue ek KHak ba-sar bolta hai

dard ki koi alag se nahin hoti hai zaban

meri aawaz mein ab sara nagar bolta hai

ghar mein baiThe hue kya soch rahe ho 'athar'

band darwazon mein KHud apna hi Dar bolta hai

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai in PDF.