Kis Sadgi Se ChhoD Diya Hai Bahaw Par

kis sadgi se chhoD diya hai bahaw par

haalan ki hum sawar hain kaghaz ki naw par

hum khilkhila ke hanste hain har taza ghaw par

kuchh log mo'tariz hain isi rakh-rakhao par

ye aag bhi unhin ki lagai hui to hai

jo log hath tap rahe hain alaw par

shahr-e-suKHan ka tarz-e-tijarat ajib hai

bikte hain fikr-o-fan bhi to miTTi ke bhaw par

rahzan hain ahl-e-qafila hain aur gard-e-rah

rahbar ko chhoD aae hain pichhle paDaw par

hum bekason pe itna munasib nahin hai zulm

chinTa bhi kaT leta hai akasr dabaw par

mumkin nahin hai ishq ki bazi ko haar jaen

dil jaisi chiz hum ne lagai hai daw par

wo shaKHs zindagi ki bulandi na chhu saka

wo jis ka sans phul gaya ho chaDhaw par

'ishrat' KHulus-o-mehr-o-wafa dosti ki laj

bikti hain sari chizen yahan ek bhaw par

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Sadgi Se ChhoD Diya Hai Bahaw Par In English By Famous Poet Ishrat Kiratpuri. Kis Sadgi Se ChhoD Diya Hai Bahaw Par is written by Ishrat Kiratpuri. Read famous Poem Kis Sadgi Se ChhoD Diya Hai Bahaw Par for youth and Student by Ishrat Kiratpuri. Free Download Kis Sadgi Se ChhoD Diya Hai Bahaw Par in PDF.