Le Kar Koi Paigham Kabutar Nahin Aate

le kar koi paigham kabutar nahin aate

ab gham bhi tera rup badal kar nahin aate

kuchh boriyan aisi hain jo beron se ladi hain

par un pe kisi or se patthar nahin aate

har subh to khilte nahin nargis ke hasin phul

har rose to gulshan mein payambar nahin aate

har shaKHs liye phirta hai hathon mein saron ko

hathon mein nazar ab kahin KHanjar nahin aate

bimar kahin ho na paDosi chalo dekhen

ab raat mein us samt se patthar nahin aate

qad apna baDha lete hain baisakhi laga kar

jo log mere sar ke barabar nahin aate

uTh jate hain be-saKHta panw teri jaanib

hum dar pe tere soch-samajh kar nahin aate

darwaza bhula deta hain ek din unhen 'ishrat'

jo log ki raaton mein bhi ghar par nahin aate

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Le Kar Koi Paigham Kabutar Nahin Aate In English By Famous Poet Ishrat Kiratpuri. Le Kar Koi Paigham Kabutar Nahin Aate is written by Ishrat Kiratpuri. Read famous Poem Le Kar Koi Paigham Kabutar Nahin Aate for youth and Student by Ishrat Kiratpuri. Free Download Le Kar Koi Paigham Kabutar Nahin Aate in PDF.