Bahut Dil Kar Ke HonTon Ki Shagufta Tazgi Di Hai

bahut dil kar ke honTon ki shagufta tazgi di hai

chaman manga tha par us ne ba-mushkil ek kali di hai

mere KHalwat-kade ke raat din yunhi nahin sanwre

kisi ne dhup baKHshi hai kisi ne chandni di hai

nazar ko sabz maidanon ne kya kya wusaten baKHshin

pighalte aabshaaron ne hamein dariya-dili di hai

mohabbat na-rawa taqsim ki qael nahin phir bhi

meri aankhon ko aansu tere honTon ko hansi di hai

meri aawargi bhi ek karishma hai zamane mein

har ek darwesh ne mujh ko dua-e-KHair hi di hai

kahan mumkin tha koi kaam hum jaise diwanon se

tumhin ne git likhwae tumhin ne shairi di hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Dil Kar Ke HonTon Ki Shagufta Tazgi Di Hai In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Bahut Dil Kar Ke HonTon Ki Shagufta Tazgi Di Hai is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Bahut Dil Kar Ke HonTon Ki Shagufta Tazgi Di Hai for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Bahut Dil Kar Ke HonTon Ki Shagufta Tazgi Di Hai in PDF.