Chaunk Chaunk UThti Hai Mahlon Ki Faza Raat Gae

chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae

kaun deta hai ye galiyon mein sada raat gae

ye haqaeq ki chaTanon se tarashi duniya

oDh leti hai tilismon ki rida raat gae

chubh ke rah jati hai sine mein badan ki KHushbu

khol deta hai koi band-e-qaba raat gae

aao hum jism ki shamon se ujala kar len

chand nikla bhi to niklega zara raat gae

tu na ab aae to kya aaj talak aati hai

siDhiyon se tere qadmon ki sada raat gae

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaunk Chaunk UThti Hai Mahlon Ki Faza Raat Gae In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Chaunk Chaunk UThti Hai Mahlon Ki Faza Raat Gae is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Chaunk Chaunk UThti Hai Mahlon Ki Faza Raat Gae for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Chaunk Chaunk UThti Hai Mahlon Ki Faza Raat Gae in PDF.