Humse Bhaga Na Karo Dur Ghazalon Ki Tarah

hum se bhaga na karo dur ghazalon ki tarah

hum ne chaha hai tumhein chahne walon ki tarah

KHud-ba-KHud nind si aankhon mein ghuli jati hai

mahki mahki hai shab-e-gham tere baalon ki tarah

tere bin raat ke hathon pe ye taron ke ayagh

KHub-surat hain magar zahr ke pyalon ki tarah

aur kya is se ziyaada koi narmi bartun

dil ke zaKHmon ko chhua hai tere galon ki tarah

gungunate hue aur aa kabhi un sinon mein

teri KHatir jo mahakte hain shiwalon ki tarah

teri zulfen teri aankhen tere abru tere lab

ab bhi mashhur hain duniya mein misalon ki tarah

hum se mayus na ho ai shab-e-dauran ki abhi

dil mein kuchh dard chamakte hain ujalon ki tarah

mujh se nazren to milao ki hazaron chehre

meri aankhon mein sulagte hain sawalon ki tarah

aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila

chand sikke hain mere hath mein chhaalon ki tarah

justuju ne kisi manzil pe Thaharne na diya

hum bhaTakte rahe aawara KHayalon ki tarah

zindagi jis ko tera pyar mila wo jaane

hum to nakaam rahe chahne walon ki tarah

(2304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Bhaga Na Karo Dur Ghazalon Ki Tarah In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Humse Bhaga Na Karo Dur Ghazalon Ki Tarah is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Humse Bhaga Na Karo Dur Ghazalon Ki Tarah for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Humse Bhaga Na Karo Dur Ghazalon Ki Tarah in PDF.