Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho

jism ki har baat hai aawargi ye mat kaho

hum bhi kar sakte hain aisi shaeri ye mat kaho

us nazar ki us badan ki gungunahaT to suno

ek si hoti hai har ek ragni ye mat kaho

hum se diwanon ke bin duniya sanwarti kis tarah

aql ke aage hai kya diwangi ye mat kaho

kaT saki hain aaj tak sone ki zanjiren kahan

hum bhi ab aazad hain yaro abhi ye mat kaho

panw itne tez hain uThte nazar aate nahin

aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho

jitne wade kal the utne aaj bhi maujud hain

un ke wadon mein hui hai kuchh kami ye mat kaho

dil mein apne dard ki chhiTki hui hai chandni

har taraf phaili hui hai tirgi ye mat kaho

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho in PDF.