Lakh Aawara Sahi Shahron Ke FuTpathon Pe Hum

lakh aawara sahi shahron ke fuTpathon pe hum

lash ye kis ki liye phirte hain in hathon pe hum

ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hansi

be-tarah iman le aae the jin baaton pe hum

koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin

muft ka ilzam rakh dete barsaton pe hum

zulf se chhanti hui us ke badan ki tabishen

hans diya karte the aksar chandni raaton pe hum

ab unhen pahchante bhi sharm aati hai hamein

faKHr karte the kabhi jin ki mulaqaton pe hum

(649) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Lakh Aawara Sahi Shahron Ke FuTpathon Pe Hum In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Lakh Aawara Sahi Shahron Ke FuTpathon Pe Hum is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Lakh Aawara Sahi Shahron Ke FuTpathon Pe Hum for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Lakh Aawara Sahi Shahron Ke FuTpathon Pe Hum in PDF.