Pata Mila Hai Wo Tha Mera Ham-safar Bahut Der Baad Ja Kar

pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

kahan kahan se mili hai mujh ko KHabar bahut der baad ja kar

main muddaton saqf-e-zindagi par khaDe khaDe tum ko dekh aaya

ye tum bhi kya ho ki aae mujh ko nazar bahut der baad ja kar

meri tamanna hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraen

ki dekhna hai ye raushni ka safar bahut der baad ja kar

mujhe batao main kyun na is uThti dhul ke sath baiTh jaun

mujhe KHabar hai wo aaega baam par bahut der baad ja kar

KHarab mausam mein har shajar se larazte patton ne kya kaha tha

ki phul aane lage hain ab shaKH par bahut der baad ja kar

qayamaton ki tarah guzarenge ye mah-o-sal hijraton ke

tamam hoga judaiyon ka safar bahut der baad ja kar

meri ghazal mein jab aae 'jafar' nazar unhen marke hunar ke

hue mere mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der baad ja kar

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pata Mila Hai Wo Tha Mera Ham-safar Bahut Der Baad Ja Kar In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Pata Mila Hai Wo Tha Mera Ham-safar Bahut Der Baad Ja Kar is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Pata Mila Hai Wo Tha Mera Ham-safar Bahut Der Baad Ja Kar for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Pata Mila Hai Wo Tha Mera Ham-safar Bahut Der Baad Ja Kar in PDF.