Suraj Chhupa Ek Ik Gul-e-manzar Bikhar Gaya

suraj chhupa ek ek gul-e-manzar bikhar gaya

shoala sa koi dil mein utar kar bikhar gaya

tha chandni ka jism ki shishe ka tha badan

aai hawa to gir ke zamin par bikhar gaya

kal hans ke reg-e-dasht se kahti thi zindagi

main ne chhua hi tha ki wo patthar bikhar gaya

naddi pe ek narm kiran ne rakha jo panw

chaaron taraf sada ka samundar bikhar gaya

'jafar' hamara dil bhi hai wo aaina ki bas

khai zara nigah ki Thokar bikhar gaya

(638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Chhupa Ek Ik Gul-e-manzar Bikhar Gaya In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Suraj Chhupa Ek Ik Gul-e-manzar Bikhar Gaya is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Suraj Chhupa Ek Ik Gul-e-manzar Bikhar Gaya for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Suraj Chhupa Ek Ik Gul-e-manzar Bikhar Gaya in PDF.