Sab Ko Guman Bhi Ki Main Aagah-e-raaz Tha

sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

kis darja kaamyab fareb-e-majaz tha

misl-e-mah-e-do-hafta wahi sarfaraaz tha

jis ki jabin-e-shauq pe dagh-e-niyaz tha

puchho na haal-e-kashmakash-e-yas-o-arzu

wo bhi ajib marhala-e-jaan-gudaz tha

jab tak haqiqaton se mera dil tha be-KHabar

bechaara mubtala-e-gham-e-imtiyaz tha

jhonka hawa-e-sarw ka rindon ke waste

KHum-KHana-e-bahaar se hukm-e-jawaz tha

ahl-e-jahan ke kufr o tawahhum ka kya ilaj

aaina kah raha hai ki aaina-saz tha

muzmir the meri zat mein asrar-e-kaenat

main aap raaz aap hi KHud sharah-e-raaz tha

aaen pasand kya use duniya ki rahaten

jo lazzat-ashna-e-sitam-ha-e-naz tha

KHilqat samajh rahi thi jise iztirab-e-dil

pinhan usi mein hasti-e-ashiq ka raaz tha

achchha hua hamesha ko chup ho gaya 'rawan'

ek ek nafas gharib ka hasti-gudaz tha

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Ko Guman Bhi Ki Main Aagah-e-raaz Tha In English By Famous Poet Jagat Mohan Lal Ravan. Sab Ko Guman Bhi Ki Main Aagah-e-raaz Tha is written by Jagat Mohan Lal Ravan. Read famous Poem Sab Ko Guman Bhi Ki Main Aagah-e-raaz Tha for youth and Student by Jagat Mohan Lal Ravan. Free Download Sab Ko Guman Bhi Ki Main Aagah-e-raaz Tha in PDF.