Yunhi Gar Har Sans Mein ThoDi Kami Ho Jaegi

yunhi gar har sans mein thoDi kami ho jaegi

KHatm rafta rafta ek din zindagi ho jaegi

dekhne wale faqat taswir-e-zahir par na ja

har nafas ke sath duniya dusri ho jaegi

gar yahi fasl-e-junun-za hai yahi abr-e-bahaar

azmat-e-tauba nisar-e-mai-kashi ho jaegi

marg-e-be-hangam kahte hain jise aaj ahl-e-dard

kal yahi surat badal kar zindagi ho jaegi

zikr hai zindan mein wo gulzar par bijli giri

aaj mere aashiyan mein raushni ho jaegi

sajda gah-e-am par sajde se kuchh hasil nahin

muft aaluda jabin-e-bandagi ho jaegi

KHatm hai shab chehra-e-mashriq se uThti hai naqab

dam-zadan mein raushni hi raushni ho jaegi

muttasil hain zof o quwwat ki haden han hoshyar

warna is tark-e-KHudi mein KHud-kushi ho jaegi

zaKHm bhi taza hai aur dil bhi nahin manus-e-dard

rafta rafta yunhi aadat sabr ki ho jaegi

shama sa jab sham hi se hai gudaz-e-dil 'rawan'

subh tak kya jaane kya haalat teri ho jaegi

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi Gar Har Sans Mein ThoDi Kami Ho Jaegi In English By Famous Poet Jagat Mohan Lal Ravan. Yunhi Gar Har Sans Mein ThoDi Kami Ho Jaegi is written by Jagat Mohan Lal Ravan. Read famous Poem Yunhi Gar Har Sans Mein ThoDi Kami Ho Jaegi for youth and Student by Jagat Mohan Lal Ravan. Free Download Yunhi Gar Har Sans Mein ThoDi Kami Ho Jaegi in PDF.