Ab Agar Aur Chup Rahunga Main

ab agar aur chup rahunga main

phir ye tai he ki phaT paDunga main

ek aisa bhi waqt aaega

tum sunoge faqat kahunga main

naz uThaunga naz uThane tak

tere aage nahin bichhunga main

dekhna teri rahbari ke baghair

apni manzil talash lunga main

tum ko jaana hai shauq se jao

ab KHushamad nahin karunga main

jab kabhi tujh se samna hoga

ajnabi ki tarah milunga main

kya sabab hai meri KHamoshi ka

shor thamne do phir kahunga main

aaina rakh ke samne 'nayab'

pagalon ki tarah hansunga main

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Agar Aur Chup Rahunga Main In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Ab Agar Aur Chup Rahunga Main is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Ab Agar Aur Chup Rahunga Main for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Ab Agar Aur Chup Rahunga Main in PDF.