Ek Justuju Sada Hi Se Zehn-e-bashar Mein Hai

ek justuju sada hi se zehn-e-bashar mein hai

jab se mili zamin musalsal safar mein hai

har-chand mere sath udasi safar mein hai

raushan charagh-e-shauq magar chashm-e-tar mein hai

mallah kah raha hai ki sahil hai bas qarib

lekin mujhe pata hai ki kashti bhanwar mein hai

tum se kabhi jo bol na paya main ek baat

ban kar KHalish wo aaj bhi mere jigar mein hai

barbaadiyon ki zad pe faqat shaKH-e-gul nahin

gulshan tamam nargha-e-barq-o-sharar mein hai

jab se main un ke halqa-e-baiat mein aa gaya

'nayab' ek raushni fikr-o-nazar mein hai

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Justuju Sada Hi Se Zehn-e-bashar Mein Hai In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Ek Justuju Sada Hi Se Zehn-e-bashar Mein Hai is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Ek Justuju Sada Hi Se Zehn-e-bashar Mein Hai for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Ek Justuju Sada Hi Se Zehn-e-bashar Mein Hai in PDF.