Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai

junun shauq yaqin zabte se aai hai

uDan mujh mein mere hausle se aai hai

mujhe bhi to kabhi bainassutur mein rakhta

phir aaj ek sada hashiye se aai hai

bhulana jab kabhi chaha hai main ne mazi ko

nikal ke yaad teri hafize se aai hai

jise KHayal ka markaz kabhi banaya tha

sunahri dhup usi daere se aai hai

yaqin kar lo to aaenge sab nazar apne

tumhaare dil mein kaji wahime se aai hai

kiya hai main ne KHud apna muhasba aksar

tamiz mujh mein isi tajarbe se aai hai

jo main ne soch ka badla hai zawiya 'nayab'

har ek chiz nazar qaede se aai hai

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai in PDF.