Main Jab Bhi Koi Manzar Dekhta Hun

main jab bhi koi manzar dekhta hun

zara auron se haT kar dekhta hun

kabhi main dekhta hun us ki rahmat

kabhi main apni chadar dekhta hun

nazar ka zawiya badla hai jab se

main kuze mein samundar dekhta hun

kabhi mere liye the phul jin mein

ab un hathon mein patthar dekhta hun

sabhi hain mubtala-e-KHud-farebi

ajab duniya ka manzar dekhta hun

nahin badlaw ke aasar kuchh bhi

abhi haalat abtar dekhta hun

muqaddar mein likhi viraniyon mein

zara sa rang bhar kar dekhta hun

nazar aata hai madfan KHwahishon ka

kabhi jab apne andar dekhta hun

suna hai aag hai us ka sarapa

chalo bahon mein bhar kar dekhta hun

basirat mujh mein hai 'nayab' aisi

main har qatre mein gauhar dekhta hun

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jab Bhi Koi Manzar Dekhta Hun In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Main Jab Bhi Koi Manzar Dekhta Hun is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Main Jab Bhi Koi Manzar Dekhta Hun for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Main Jab Bhi Koi Manzar Dekhta Hun in PDF.