Maine Koshish Ki Bahut Lekin Kahan Yakja Hua

main ne koshish ki bahut lekin kahan yakja hua

safha-e-hasti ka shiraaza raha bikhra hua

zehn ki khiDki khuli dil ka daricha wa hua

tab jahan ke dard se rishta mera gahra hua

kya patta kab kaun us ki zad pe aa jae kahan

waqt ki raftar se har shaKHs hai sahma hua

kis ki yaad aai moattar ho rahe hain zehn-o-dil

kis ki KHushbu se hai sara pairahan mahka hua

peD ke niche shikari jal phailae hue

aur parinda shaKH par baiTha Dara sahma hua

do-qadam bhi ab tumhaare sath chalna tha muhaal

rah tum ne KHud alag kar li chalo achchha hua

zindagi har zawiye se dekhta hun main tujhe

hai meri fikr-o-nazar ka daera phaila hua

chhap gai pani mein apni chhab dikha kar jal-pari

aaj phir 'nayab' mere sath ek dhoka hua

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Koshish Ki Bahut Lekin Kahan Yakja Hua In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Maine Koshish Ki Bahut Lekin Kahan Yakja Hua is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Maine Koshish Ki Bahut Lekin Kahan Yakja Hua for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Maine Koshish Ki Bahut Lekin Kahan Yakja Hua in PDF.