Be-bak Na Dekha Koi Qatil Ke Barabar

be-bak na dekha koi qatil ke barabar

sharm aankh mein pai na gai til ke barabar

dushman koi ai yar mera aur tera dost

hoga na zamane mein mere dil ke barabar

dil muttasil-e-kucha-e-mahbub hua gum

luTna tha pahunch kar mujhe manzil ke barabar

kam-baKHti-e-waiz hai ki ho waz ki sohbat

rindan-e-qadah-nosh ki mahfil ke barabar

hum pi gae jo ashk qarib-e-mizha aaya

kashti hui jab gharq to sahil ke barabar

aahon ke sharar gard nahin dagh-e-jigar ke

tabinda hain aKHtar mah-e-kaamil ke barabar

parda na uTha qais ne laila ko na dekha

jhonka bhi na aaya koi mahmil ke barabar

maqtal mein ye hasrat rahi ai zoaf pas-e-zabh

pahunche na taDap kar kisi bismil ke barabar

ghar tak dar-e-jaanan se 'jalal' aaiye kyun kar

ek ek qadam hai kai manzil ke barabar

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-bak Na Dekha Koi Qatil Ke Barabar In English By Famous Poet Jalal Lakhnavi. Be-bak Na Dekha Koi Qatil Ke Barabar is written by Jalal Lakhnavi. Read famous Poem Be-bak Na Dekha Koi Qatil Ke Barabar for youth and Student by Jalal Lakhnavi. Free Download Be-bak Na Dekha Koi Qatil Ke Barabar in PDF.