Jaane Wala Iztirab-e-dil Nahin

jaane wala iztirab-e-dil nahin

ye taDap taskin ke qabil nahin

jaan de dena to kuchh mushkil nahin

jaan ka KHwahan magar ai dil nahin

tujh se KHush-chashm aur bhi dekhe magar

ye nigah ye putliyan ye til nahin

rahte hain be-KHud jo tere ishq mein

wo bahut hoshyar hain ghafil nahin

jo na siske wo tera kushta hai kab

jo na taDpe wo tera bismil nahin

hijr mein dam ka nikalna hai muhaal

aap aa niklen to kuchh mushkil nahin

aaiye hasrat-bhare dil mein kabhi

kya ye mahfil aap ki mahfil nahin

hum to zahid marte hain us KHuld par

jo bahishton mein tere shamil nahin

wo to wo taswir bhi us ki 'jalal'

kahti hai tum baat ke qabil nahin

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Wala Iztirab-e-dil Nahin In English By Famous Poet Jalal Lakhnavi. Jaane Wala Iztirab-e-dil Nahin is written by Jalal Lakhnavi. Read famous Poem Jaane Wala Iztirab-e-dil Nahin for youth and Student by Jalal Lakhnavi. Free Download Jaane Wala Iztirab-e-dil Nahin in PDF.