Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati

jafa ki us se shikayat zara nahin aati

wo yaad hi hamein shukr-e-KHuda nahin aati

nikal ke ta-ba-lab aah-e-rasa nahin aati

karahta hai jo ab dil sada nahin aati

hamari KHak ki miTTi hai kya KHarab ai charKH

kabhi idhar ko udhar ki hawa nahin aati

shab-e-visal kahan KHwab-e-naz ka mauqa

tumhaari nind ko aate haya nahin aati

adu hamari ayaadat ko le ke aae unhen

kahan ye mar rahi ab bhi qaza nahin aati

lahad pe aae the do phul bhi chaDha jate

abhi tak aap mein bu-e-wafa nahin aati

meri lahad ko wo un ka ye kah kar Thukrana

sada-e-nara-e-sad-marhaba nahin aati

sitam hai aur mere dil-shikan ka ye kahna

shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati

'jalal' hum ye na manenge tu use nahin yaad

tujhe kabhi koi hichki bhi kya nahin aati

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati In English By Famous Poet Jalal Lakhnavi. Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati is written by Jalal Lakhnavi. Read famous Poem Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati for youth and Student by Jalal Lakhnavi. Free Download Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati in PDF.