Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati

kyun wasl mein bhi aankh milai nahin jati

wo farq dilon ka wo judai nahin jati

kya dhum bhi nalon se machai nahin jati

soti hui taqdir jagai nahin jati

kuchh shikwa na karte na bigaDta wo shab-e-wasl

ab hum se koi baat banai nahin jati

dekho to zara KHak mein hum milte hain kyunkar

ye nichi nigah ab bhi uThai nahin jati

kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge

manga karo tum maut abhi aai nahin jati

wo hum se mukaddar hain to hum un se mukaddar

kah dete hain saf apni safai nahin jati

hum sulh bhi kar len to chali jati hai un mein

baham dil o dilbar ki laDai nahin jati

KHud dil mein chale aaoge jab qasd karoge

ye rah batane se batai nahin jati

chhupti hai 'jalal' aankhon mein kab hasrat-e-didar

sau parde agar hon to chhupai nahin jati

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati In English By Famous Poet Jalal Lakhnavi. Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati is written by Jalal Lakhnavi. Read famous Poem Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati for youth and Student by Jalal Lakhnavi. Free Download Kyun Wasl Mein Bhi Aankh Milai Nahin Jati in PDF.