Muddat Ke Baad Munh Se Lagi Hai Jo ChhuT Kar

muddat ke baad munh se lagi hai jo chhuT kar

to ye bhi mai pe girti hai kya TuT TuT kar

mehndi tha mera KHun ki hota jo raegan

ek shab ke baad hath se qatil ke chhuT kar

pahla hi din tha hum ko kiye tark-e-mai-kashi

kya kya paDa hai raat ko meinh TuT TuT kar

sabr o qarar le ke diya dagh-e-arzu

aabaad tum ne dil ko kiya mujh ko luT kar

hairat hai mere aKHtar-e-baKHt-e-siyah ko

kyun kar gahan se chand nikalta hai chhuT kar

allah-re aansuon ka khaTakna firaq mein

aankhon mein bhar gaya koi almas kuT kar

Tapke nahin qalam ke faqat ashk nama par

wo kuchh likha ki roi siyahi bhi phuT kar

kar band-o-bast abhi se na gulshan mein baghban

wo din to ho ki murgh-e-qafas aaen chhuT kar

sad-haif sar-guzisht jo apni kahi 'jalal'

tu is ko dastan samajh sach ko jhuT kar

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Ke Baad Munh Se Lagi Hai Jo ChhuT Kar In English By Famous Poet Jalal Lakhnavi. Muddat Ke Baad Munh Se Lagi Hai Jo ChhuT Kar is written by Jalal Lakhnavi. Read famous Poem Muddat Ke Baad Munh Se Lagi Hai Jo ChhuT Kar for youth and Student by Jalal Lakhnavi. Free Download Muddat Ke Baad Munh Se Lagi Hai Jo ChhuT Kar in PDF.