Chal Kar Na Zulf-e-yar Ko Tu Ai Saba BigaD

chal kar na zulf-e-yar ko tu ai saba bigaD

andher hoga us se agar ho gaya bigaD

aashiq ko har tarah hai musibat ka samna

achchha tera milap na achchha tera bigaD

main kyun karun kisi ko makin-e-makan-e-dil

main kyun kahun kisi se ki tu ghar mera bigaD

mauquf ek do pe nahin yar ka itab

is se juda bigaD hai us se juda bigaD

hoti thi aashiqon mein baDe lutf se basar

baiThe-biThae aap ne kyun kar liya bigaD

aise mariz-e-ishq ka kis se ilaj ho

paida kare mizaj mein jis ke dawa bigaD

nazuk-mizaj yar ka bartao kya kahun

do din raha milap to barson raha bigaD

achchhon mein aib bhi ho to daKHil hunar mein hai

rakhta hai sau banaw teri zulf ka bigaD

achchha hua 'jalil' se tum saf ho gae

aghyar ne to Dal diya tha bura bigaD

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal Kar Na Zulf-e-yar Ko Tu Ai Saba BigaD In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Chal Kar Na Zulf-e-yar Ko Tu Ai Saba BigaD is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Chal Kar Na Zulf-e-yar Ko Tu Ai Saba BigaD for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Chal Kar Na Zulf-e-yar Ko Tu Ai Saba BigaD in PDF.