Main KHud Sochta Hun

hadse zindagi ki alamat hain lekin wo ek hadsa

hum jise maut kahte hain

kab aur kaise kahan ru-numa ho koi jaanta hai

bila-raib koi nahin jaanta

main KHud sochta hun mujhe ek muddat se kya ho gaya hai

mere phaile hue jagte zinda hathon ki sab ungliyan so chuki hain

mere larzan labon par jami papDiyan barq se rakh hote hue abr par ro chuki hain

ilm o irfan ki rah mein jaise meri duaen asar kho chuki hain

main kya jaanta hun

fana ke tasalsul mein koi girah Dalne ke liye

harf-e-kun ki zarurat hai jo mangne par bhi koi na dega

ki ab wo zamanon se bahte hue KHun ka KHun-baha to nahin hai

wo jis ke tasarruf mein sab kuchh hai

husn-e-talab ki mujhe dad de kar agar ye kahe

KHub ho tum magar jaante ho ki tum kaun ho

tum rah-e-raftagan ki masafat ka ek aur aaghaz ho intiha to nahin ho

adam aur maujud ke darmiyan ek kaDi ho KHuda to nahin ho

to main kya kahunga main KHud sochta hun

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHud Sochta Hun In English By Famous Poet Jameel Ur Rahman. Main KHud Sochta Hun is written by Jameel Ur Rahman. Read famous Poem Main KHud Sochta Hun for youth and Student by Jameel Ur Rahman. Free Download Main KHud Sochta Hun in PDF.