Jab Hamari Zindagi Ka KHatm Afsana Hua

jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua

us ghaDi sad-haif un ka KHair se aana hua

aap to hanste rahe hum ro ke ruswa ho gae

shama to chalti rahi pamal parwana hua

meri barbaadi ke charche sun ke kis kis naz se

puchhte hain muskura kar kaun diwana hua

dahr mein ab muskurane ki hamein fursat nahin

dil hujum-e-gham bana gham aah-e-afsana hua

tu na hota to zamin-o-asman kuchh bhi na tha

tere qadmon ki badaulat mera kashana hua

ai karam-farma tujhe ho ilm us ka ya na ho

kaun tujh mein kho ke aur phir KHud se begana hua

hum hi ek tanha nahin 'tasnim' mastane hue

un ki nazren kya uThin har rind mastana hua

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Hamari Zindagi Ka KHatm Afsana Hua In English By Famous Poet Jameela Khatoon Tasneem. Jab Hamari Zindagi Ka KHatm Afsana Hua is written by Jameela Khatoon Tasneem. Read famous Poem Jab Hamari Zindagi Ka KHatm Afsana Hua for youth and Student by Jameela Khatoon Tasneem. Free Download Jab Hamari Zindagi Ka KHatm Afsana Hua in PDF.