Bataen Tum Se Kya Hum Aashiq-e-bimar Kis Ke Hain

bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain

hamare dida-e-tar talib-e-didar kis ke hain

na kyun ham-shakl-e-bulbul madh mein naghma-sara hun main

tumhin mujh ko bata do phul se ruKHsar kis ke hain

koi be-KHud koi ba-KHud hue teri mohabbat mein

jo hain ghafil wo kis ke hain jo hain hoshyar kis ke hain

uTha kar hath mein tasbih mujh se dil ye kahta hai

barahman kis ke hain hum sahib-e-zunnar kis ke hain

na kyun bahr-e-shahadat sar jhukaen shauq se aashiq

basan-e-tegh kahiye abru-e-KHamdar kis ke hain

kaha ye tair-e-dil ne ulajh kar zulf-e-pur-KHam mein

phansaya kis ne mujh ko aur ye kirdar kis ke hain

nahin malum zaKHmi ho gaya hai kaun shaidai

gul-e-taza 'jamila' zaKHm-e-daman-dar kis ke hain

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bataen Tum Se Kya Hum Aashiq-e-bimar Kis Ke Hain In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Bataen Tum Se Kya Hum Aashiq-e-bimar Kis Ke Hain is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Bataen Tum Se Kya Hum Aashiq-e-bimar Kis Ke Hain for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Bataen Tum Se Kya Hum Aashiq-e-bimar Kis Ke Hain in PDF.