Dekhiye Gul Ki Mohabbat Hamein Kya Deti Hai

dekhiye gul ki mohabbat hamein kya deti hai

bulbul-e-zar ye hasrat se sada deti hai

tum salamat raho zinda hai tumhin se ulfat

hath uTha kar tumhein hasrat ye dua deti hai

kya kahun aah mein tum se ki mohabbat kya hai

ye wo shai hai ki jo insan ko miTa deti hai

sachchi ulfat bhi ajab chiz hai allah allah

jalwa-e-yar ko har shai mein dikha deti hai

sar-e-taslim tah-e-tegh jhuka de apna

ye sada dil se mere us ki raza deti hai

wae-barbaadi-e-qismat ki pas-e-marg saba

KHak ushshaq-e-jafa-kash ki uDa deti hai

KHana-e-dil mein 'jamila' yahi us ki ulfat

yas-o-arman-o-tamanna ko biTha deti hai

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhiye Gul Ki Mohabbat Hamein Kya Deti Hai In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Dekhiye Gul Ki Mohabbat Hamein Kya Deti Hai is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Dekhiye Gul Ki Mohabbat Hamein Kya Deti Hai for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Dekhiye Gul Ki Mohabbat Hamein Kya Deti Hai in PDF.