Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya

ishq-e-butan ka jab se mujhe Dhang aa gaya

hathon se mere dast-e-junun tang aa gaya

kis shauq se ye bazm mein kahta hai dil mera

mutrib ke sath ban ke yahan chang aa gaya

Darna abas hai KHar-e-mughilan se ab mujhe

manzil mein ishq ke kai farsang aa gaya

ji chahta hai phenk dun pahlu se main use

betabiyon se dil ki to main tang aa gaya

manzur shisha-e-dil-e-ashiq hai toDna

jo hath mein liye hue wo sang aa gaya

pamal tum ne gar dil-e-ashiq nahin kiya

talwon mein kyun na KHun ka phir rang aa gaya

kis tarah log ku-e-butan tak chale gae

mere to har qadam pe wahan sang aa gaya

sun kar ghazal ko meri 'jamila' ne ye kaha

is mein to sufiyana bhi kuchh rang aa gaya

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya in PDF.