KaTunga Shab TaDap Kar Ro Kar Sahar Karunga

kaTunga shab taDap kar ro kar sahar karunga

furqat mein teri jaanan yun hi basar karunga

kahta hai ishq-e-dilbar furqat mein ho na muztar

dil mein guzar karunga aankhon mein ghar karunga

aata nahin wo dilbar kahta hai roz mujh se

aane ki apne tujh ko pahle KHabar karunga

tum ja rahe ho jao ai but mera KHuda hai

sine ko ranj-e-furqat patthar jigar karunga

qatron mein chashm-e-tar ke taswir-e-dil-ruba hai

hasrat se kyun na us ki jaanib nazar karunga

aashiq ka qafila ab jata hai un ke dar par

bang-e-jaras banunga nalon ko sar karunga

turbat ko dekh kar main kahta hun ai 'jamila'

ai gor main bhi tera aabaad ghar karunga

(547) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KaTunga Shab TaDap Kar Ro Kar Sahar Karunga In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. KaTunga Shab TaDap Kar Ro Kar Sahar Karunga is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem KaTunga Shab TaDap Kar Ro Kar Sahar Karunga for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download KaTunga Shab TaDap Kar Ro Kar Sahar Karunga in PDF.