Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai

mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai

Darega KHanjar-e-qatil se kya wo jis ko marna hai

madad kar ishq-e-sadiq jazb-e-kaamil mujh se mahzun ki

shab-e-gham nala karna hai aur is ji se guzarna hai

na phenko sang-e-KHara par hifazat chahiye is ki

ki rakh kar mirat-e-dil ru-ba-ru tum ko sanwarna hai

ye jam-e-dida-e-hasrat bharunga ashk-e-KHuni se

mai-e-gulgun tujhe pir-e-mughan saghar mein bharna hai

Thahar ja bulbul-e-ghamgin kahan tak zari-o-shewan

ki murgh-e-bostan-e-ishq ko bhi nala karna hai

sarishk-e-chashm-e-pur-nam ki rawani se pareshan hun

junun kya dida-e-hasrat hamara koi jharna hai

'jamila' safha-e-mahtab par lahra gae kale

sitam in gesuon ka dosh par un ke bikharna hai

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai in PDF.