Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana

sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana

baDi aafat hai dal ke hath se na-chaar ho jaana

badal jaana nigahon ka to dekha par nahin dekha

dil-e-ashiq se us ka tir ban kar par ho jaana

nasihat se wo baz aata nahin tum baz aaoge

pahunchna samne naseh ke jab sarshaar ho jaana

kiya hai ashk-e-hasrat tu ne ruswa mujh ko mahfil mein

kaha kis ne ki yun mere gale ka haar ho jaana

akele mein tasawwur KHub karna us sitam-gar ka

lahad mein KHwab-e-ghaflat se agar bedar ho jaana

Dil-e-pur-gham raqib ru-siyah dekhe nahin tujh ko

gali mein us ki ja kar saya-e-diwar ho jaana

nahin furqat gawara tair-e-dil tum ko dilbar ke

pahunchte hi asir-e-gesu-e-KHam-dar ho jaana

KHuda hafiz hai apna dekhiye kaisi guzarti hai

baDi mushkil hai rah-e-ishq ka dushwar ho jaana

qadam-bosi mayassar ho kisi surat se us but ki

'jamila' baad-e-murdan KHak-e-ku-e-yar ho jaana

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana in PDF.