Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha

yar kahta hai tajalli-e-laqa thi main na tha

tur-e-sina par wahi jalwa-numa thi main na tha

gumbad-e-aflak par jis ka hua akasr guzar

wo dil-e-bimar-e-gham ki ek dua thi main na tha

har taraf thi aalam-e-imkan mein jo phaili hui

mere asrar-e-haqiqat ki ziya thi main na tha

misl-e-bu-e-gul tere kuche mein tha jis ka guzar

ai sanam wo meri jaan-e-mubtala thi main na tha

bostan mein talib-e-didar thi jo aap ki

wo gul-e-nargis ki chashm-e-ba-ziya thi main na tha

baad-e-murdan qabr mein mujh ko sula kar ye kaha

dard tha betabiyan thin aur qaza thi main na tha

ek jhalak dikhla ke apni kis ada se kah gaya

jis ko dekha wo bhi shan-e-kibriya thi main na tha

jis ne chuma waqt-e-pamali qudum-e-naz ko

KHun-e-dil ba-shoKHi-e-rang-e-hina thi main na tha

darguzar kar aaine se aap ne moDa hai munh

is mein meri hasrat-e-hairat-faza thi main na tha

zari-o-shewan hamari kab suni hain aap ne

bostan mein bulbul-e-naghma-sara thi main na tha

uD ke jo pahunchi saba ke sath galiyon mein teri

musht-e-KHak-e-kushta-e-tegh-e-ada thi main na tha

dekh kar un ko jo main fart-e-masarrat se mara

wo lage kahne ki ye us ki qaza thi main na tha

tha main taswir-e-KHyali hasti-e-mauhum mein

wo bhi shan-e-ishq-e-shah-e-do-sra thi main na tha

ai 'jamila' bostan-e-ishq mein waqt-e-sahar

nikhat-e-gul si jo pahunchi wo saba thi main na tha

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha in PDF.