Bujhe Bujhe Se Sharare Hain Zard ShaKHon Par

bujhe bujhe se sharare hain zard shaKHon par

saja gaya hai koi apna dard shaKHon par

safir-e-shab ka koi ashk DhunDte honge

hawa ke jalte hue honT sard shaKHon par

ayan hai rang-e-taghazzul gulon ke chehron se

bayaz-e-rang nahin fard fard shaKHon par

lapeTe nur ki chadar mein dard ke sae

bhaTak raha hai koi shab-naward shaKHon par

hawa ki god mein mauj-e-sarab bhi hogi

girenge phul to Thahregi gard shaKHon par

piye hue hain shajar intiha-e-karb ka sam

ki hai numud-e-gul-e-la-jaward shaKHon par

urus-e-bu-e-bahaaran ne kya shararat ki

ki hain safir-e-saba KHud-nabard shaKHon par

wo ek uDan mein shohrat ka aasman Thahra

simaT ke rah gae baaton ke mard shaKHon par

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhe Bujhe Se Sharare Hain Zard ShaKHon Par In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Bujhe Bujhe Se Sharare Hain Zard ShaKHon Par is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Bujhe Bujhe Se Sharare Hain Zard ShaKHon Par for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Bujhe Bujhe Se Sharare Hain Zard ShaKHon Par in PDF.