Dayar-e-sang Mein Rah Kar Bhi Shishagar Tha Main

dayar-e-sang mein rah kar bhi shishagar tha main

zamana chiKH raha tha ki be-KHabar tha main

lagi thi aankh to maryam ki god ka tha guman

khuli jab aankh to dekha salib par tha main

aman kise thi mere sae mein jo rukta koi

KHud apni aag mein jalta hua shajar tha main

tamam umr na laDne ka gham raha mujh ko

ajab mahaz pe haara hua zafar tha main

hawa-e-waqt ne patthar bana diya warna

lachakti shaKH se TuTa hua samar tha main

tamam shahr mein jangal ki aag ho jaise

hawa ke dosh pe uDti hui KHabar tha main

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-sang Mein Rah Kar Bhi Shishagar Tha Main In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Dayar-e-sang Mein Rah Kar Bhi Shishagar Tha Main is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Dayar-e-sang Mein Rah Kar Bhi Shishagar Tha Main for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Dayar-e-sang Mein Rah Kar Bhi Shishagar Tha Main in PDF.